Friday, February 2, 2018

Fear (Darr) - A Hindi Poem



Na Bhookh Na Pyaas
Jane Kis Chiz ki Talaash

Na Josh Na Umang
Jane Kaha Khoya hai Man

Na Ansoo Na Hansi
Jane Kiska Hai Intezaar

Na Nind Na Aram
Jane Kya Kar Rahi Bechain

Ek Darr Sapno ke Bikharne Ka
Ek Nirasa si Jo Layi Hai
Umeed ki Kiran Kahi Door se Jhank Rahi
Sayad Paas a Paye
Ya Phir Uske bhi Bichadne ka Darr

Kahi Nahi Pahuch Pane ka Darr
Adhure ek Sngarsh mein hi Kho Jane ka Darr
Bheed mein Khud ko Bhul Jane ka Darr
Insan se Machine Ban Jane ka Darr
Aur Phir usi ko hakikat Samajh Lene ka Darr

Kabhi na Azad ho Pane ka Darr
Gulami mein Ghut Ghut ke Khud ko hi Bhul Jane ka Darr
Zinda Hote hue bhi Apni hi Rooh ki Baat na Samajh Pane ka Darr

Darr...

(From the pages of my Dairy, written on 29th Jan 2018)