Sunday, March 4, 2018

Meri Rooh




Kaha Hoon Kya Fark Padta hai,
Har Mahfil mein Akela Hoon,
Kya Khoj Raha Pata Nahi,
Har Lamhe mein Bechain Hoon,
Sarir to Yahi Dikh Rahi, Rooh Kahi Akeli hai,

Khoya sa Tanha Sa Lachar sa, Jo Kisi se Baat nhi Karna Chahta, Aisi ek Rooh wahi Sarir se Juda Hoon,
Na Aakrosh hai Na Ichaa,
Na Santi Na Dilasha,
Bas Bechani, Tanhai aur Rosh hai,
Khoya sa Wo Kabhi Idhar Udhar to Kabhi Khud mein Ghut Raha hai,

Tanhai ko Jee Raha hai,
Usi mein Khusi Khoj Raha hai,
Ek Bhatakti si uski Masoom Rooh Kahi Basera Nahi Dekh Pati,
Log Umeedein Bandhe baithe hain,
Wo to Umeed se bhi na Bandha Hai,

Bas Bhatakna Chahta hai,
Thaharna to Chahta hai par Bechaini Shant Nahi hoti,
Rukna to Chahta hai Par Basera sa Kahi Dikhta Nahi,

Khud ko hi Kosta
Khud ko hi Dilasa Deta
Khud mein hi Rota hai Wo,

Na Manjil Dikhti hai
Na hi Koi Mahaul Rok Pata Use,

Uski Wo Bhatakti Rooh Jane Kaha Le Jana Chahti hai Usse,

Hawa ke Sath Udd Jana Chahta hai wo,
Badal Ke sath Barasna Chahta hai wo,
Pahado se Girna Chahta hai wo,
Nadi sang Bahna Chahta hai wo,
Aur Insano se Door Rahna chahta hai Wo,

Ek Bhatakti Bechain si Uski Rooh Jane Kaha Le Jana Chahti hai usse.

(From the Pages of my dairy written on 27th Jan 2018, 4pm)